Saturday 10 September 2011

Kya Khoya... Kya Paya....



Fir aaj ek shaksh ko murdaa paya..
Aaj fir dil me vahi sawaal aya..
Itne baras jiili maine ye zindagi meri..
Ab tak kya maine khoya aur kya paya..

Kabhi kisi ko hasaya kabhi rulaya...
Kabhi tode sapne,kabhi sapno ko bunvaya...

Itne baras jiili maine ye zindagi meri..
Ab tak kya maine khoya aur kya paya..

Mehnat karke raat aur din...
Sapno ka ek mehel banaya...
kuch maine kamaye kagaz k tukde...
Jo ab hai kisi aur ka humsaya...

Itne baras jiili maine ye zindagi meri..
Ab tak kya maine khoya aur kya paya..

Kabhi kisi ka naih kiya bura...
par bhala karke bhi na dikhlaya...
Bas ek naam ki chaah me...
Asal zindagi ko hai maine gavaya...

Itne baras jiili maine ye zindagi meri..
Ab tak kya maine khoya aur kya paya..


Aaj sab dekh kar lag raha hia mujhko...
Zindagi me kuch nahi kiya maine...
Na khud maine kuch paaya...
Apni hai bas 2 gaj zameen aur ek saaya...

Fir aaj ek shaksh ko murdaa paya..
Aaj fir dil me vahi sawaal aya..
Itne baras jiili maine ye zindagi meri..
Ab tak kya maine khoya aur kya paya..

5 comments:

  1. Poem toh.. Kaabil-e-Taarif hai hi.. But ye Pics ki relevancy bhi bahot khub hai...! :) - Uday

    ReplyDelete
  2. Wow di... Very nice touching... Vish...

    ReplyDelete
  3. Hats off to you dear !!!
    these was really heart touching !!!

    ReplyDelete

Thank You For Posting Your Views... Suggestions welcome :)