Tuesday 10 January 2012

Maa I Love You.... :(

Roz savere uthkar jab, tere chahre ki vo mayoosiyan dekhti hu...
Khud se main bas ek hi savaal karti hu...
ki jaane main kya karti hu.... Na jaane main kya karti hu...

Teri koi galati na thi, fir bhi na tujhko khushi mili...
Roz ek nayi jung, patthar ki nayi laqeer mili...

                                              Chahti hu tujhe khushi dena.. par ghum hi deti jaati hu...
Khud se main bas ek hi savaal karti hu...
ki jaane main kya karti hu.... Na jaane main kya karti hu...

Tune bhi hai khawaab sajaye tere bhi kuch sapne hain...
teri bhi aashaye hain, kuch pal tere bhi apne hain...

Chahti hu tere sapne poore karna.. par todti main jaati hu...
Khud se main bas ek hi savaal karti hu...
ki jaane main kya karti hu.... Na jaane main kya karti hu...

zimmedari tu sab leti hai, kabhi nahi kuch kehti hai...
Zindagi k surkh thapede tu bas yuhi sehti rehti hai...

chahti hu main kuch dard hatanaa..par aur dard de jaati hu
Khud se main bas ek hi savaal karti hu...
ki jaane main kya karti hu.... Na jaane main kya karti hu...

Un foolti saanso me bhi, tu sab kuch karti jaati hai...
Koi kaam adhoora nahi rahe, sabki takleef mitaati hai...

Ab aur naa tarse tu..karna kuch aisa chahti hu...
Khud se main bas ek hi savaal karti hu...
ki jaane main kya karti hu.... Na jaane main kya karti hu...

Tujhko bhi haq hai hasne ka,Duniya ki khushi ko chakhne ka...
Manzil apni to ek hi hai..khushi ki talaash me main bhi hu...
 
Diye banke tu roshan hai.. baati ban main jalna chahti hu...
Khud se main bas ek hi savaal karti hu...
ki jaane main kya karti hu.... Na jaane main kya karti hu...

Mujhpe tu kar bharosa, main teri har aah pe marti hu...
Sapne tere poore hongey bas ek hi waada karti hu...